Teri Aadat Song Lyrics – Abhi Dutt
Teri Aadat Song Details:
Song: Teri Aadat
Singer & Composer: Abhi Dutt
Lyrics: Ishaan Kha
Teri Aadat Song Lyrics –
Tu door hua hai jabse
Man bawara kyun tarse
Raahein agar yeh juda thi
Kyun sath tha ik umar se
Teri aadat jo lagi hai
Use kaise main bhulaun
Yeh kahani mere dard ki
Kisko jaake sunaun
Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se
Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se
Teri tadap mein waqt ka katra
Lagta hai dariya kyun mujhe
Shart bata de ya phir saza de
Hai kya raza bayan kar mujhe
Kaise juda ho jaun
Dekha tujhe hai kurbat se
Raahein agar yeh juda thi
Kyun sath tha ik umar se
Teri aadat jo lagi hai
Use kaise main bhulaun
Yeh kahani mere dard ki
Kisko jaake sunaun
Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se
Tu wajah hai har wajah ki
Bewajah hua main ab se
You may also like –
Woh Mere Bin Lyrics – Atif Aslam