Kya Kahein Jaane De Lyrics Song – Atif Aslam

Kya Kahein Jaane De Lyrics Song – Atif Aslam
Kya Kahein Jaane De Full Lyrics Song - Atif AslamTitle- Jaane De
Film- Qarib Qarib Singlle (2017)
Singer- Atif Aslam
Lyrics by- Raj Shekhar
Music by- Gaurav Vaswani, Abhijit Nalani
Music Label- Zee Music Company

Kya Kahein Jaane De Lyrics Song –

Woh jo tha khwaab sa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de –x2

Kyun na rok kar khudko
Ek mashwara karlein
Magar jaane de
Aadatan toh sochenge
Hota yun toh kya hota
Magar jaane de

Woh jo tha khwaab sa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de

Hmm…

Beeta jo beete na haaye kyun
Aaye yun aankhon mein
Humne toh be-mann bhi socha na
Kyun aaye tum baaton mein

Poochhte jo humse tum
Jaane kya kya hum kehte
Magar jaane de
Aadatan toh sochenge
Hota yun toh kya hota
Magar jaane de

Woh jo tha khwaab sa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de

Aasaan nahi hai magar
Jaana nahi ab udhar
Hmm hmm…

Aasaan nahi hai magar
Jaana nahi ab udhar

Maloom hai jahaan dard hai
Wahi phir bhi kyun jaayein
Wahi kashmakash wahi uljhane
Wahi tees kyun laayein

Behtar toh yeh hota
Hum mile hi na hote
Magar jaane de
Aadatan toh sochenge
Hota yun toh kya hota
Magar jaane de

Woh jo tha khwaab sa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *